Jab lalch ke bazar aam ho jaye
Tu rishto ke shehr wiran ho jate hain
Chaye rishte khon ke hon ya dosti ke
Taqat ki zarorat tab hoti hai
Jab kuch bura krna ho, warna dunya me
Sab kuch pane klye
Aap ka husan , amal aur ikhlaq hi kafi hai
Palat kr jawab dena be-shak galat bat hai
Lekin sunte rehein tu log bolne ki
Tameez bhol jate hai
Apne hath se ki hoi neki
aur dosre se sar zad hone wale
Gunah ka tazkra kisi se na kro
Yeh tumhare kardar ka imtehan hai
Ache dost ke sath dhoka krna
Aise hi hai jaise aap ne heera phenk kr
Zameen se pathar utha lya ho
Apni zindagi me aise logo ko shamil kro
Jo aina air saya ban ke sath rehin
Kyunk aiyna jhhut nai bolta
Aur saya sath nai chhorta
Aap kab sehi the ye koi nai yad rakhta
Lekin aap kahan galat ho, ye bat koi nai bholta
Insan pr jab acha waqt aane lgta hai
Tu bohat se aise rishte bhi peda ho jate hain
Jo bohat pehle aap ko qabar me utar chuke hote hain
Zamana bhi ajeeb hai
Nakam ko dekh kr hasta hai
Aur kamyab ko dekh kr jalta hai
Apne khilaf batein khamoshi se sun lo
Aur jawab dene ka haq waqt ko dene do
Bar bar ansu saf krne ki bjaye
Apni zindagi se us ko hi saf saf kr dein
Jo aap ke ansuoon ki waja bnta hai
Dunya fatah krni hai
Tu aawaz aur lehje me narmi peda kro
Kyunk lehje ka asar alfaz se zyada hota hai
Kuch log bharose klye rote hain
Aur kuch log bharosa kr ke rote hain